“Waqt Sabse Badi Dault Hai” ⏳
🕰️ Waqt Sabse Badi Dault Hai
Zindagi mein paisa, shohrat aur cheezein dobara mil sakti hain, lekin waqt kabhi wapas nahi aata.
Har guzarne wala lamha hamare haath se nikal kar sirf yaadon mein reh jaata hai.
Insaan aksar samajhta hai ke uske paas bohot time hai, lekin asal mein har second ek daulat hai jo hum khamoshi se kho dete hain.
Jo log waqt ki kadar karte hain, wo zindagi mein kabhi peeche nahi rehte.
Agar tum apna waqt bekaar cheezon mein zaya kar rahe ho, to samajh lo ke tum apni sabse badi daulat khud barbaad kar rahe ho.
Waqt ek aisi cheez hai jise na khareeda ja sakta hai, na roka ja sakta hai.
Bas istemal kiya ja sakta hai — sahi tarike se, sahi waqt pe. ⏰
Is liye har din ka poora faida uthao, apne goals likho, aur un par kaam karo.
Zindagi tab badalti hai jab hum waqt ki ahmiyat samajh kar apni mehnat ko uske sath jod lete hain.
---
💡 Lesson:
> Paisa khona bura nahi, waqt khona sabse bura hai.
Jo waqt ki kadar karta hai, wo har daulat kama sakta hai.
---By:Hassan Ansari
Comments
Post a Comment