🧠 Chhoti Soch, Badi Mushkil
💭 Chhoti Soch, Badi Mushkil
Zindagi mein kabhi kabhi hum sab ruk jaate hain…
Kyun?
Kyuki hum soch lete hain ke “Mere bas ka nahi hai…”
Aur yahi soch, insaan ke sapnon ka sabse bada dushman ban jaati hai.
Jo log duniya badalte hain, unke paas extra power nahi hoti…
Sirf badi soch aur himmat hoti hai.
Wo girte hain, log unpe hasta hain, lekin wo rukte nahi —
kyunki unhe pata hota hai, “Main kar sakta hoon.”
Chhoti soch insaan ko hamesha darr mein rakhti hai —
“Log kya kahenge?”, “Agar main haar gaya to?”, “Agar sab galat ho gaya to?”
Lekin badi soch ke log kehte hain:
> “Agar main koshish karun aur jeet jaaun to?”
Zindagi unhi ki hoti hai jo risk lete hain,
jo apne khayalon ko haqeeqat mein badalte hain,
aur jo har mushkil ko seekhne ka mauqa samajhte hain.
Yaqeen rakho:
> “Chhoti soch chhoti zindagi deti hai,
lekin badi soch tumhe wo manzil dila sakti hai
jiska tumne khwab bhi nahi dekha hoga.”
Toh aaj ek faisla lo —
Apni soch ko bada karo,
Zindagi apne aap asaan ho jaayegi. 🌟
---By:Hassan Ansari
"Agr blog pasand aya to follow karain or apny dosto ko b share karain shukria"
Comments
Post a Comment